Saturday, February 23, 2013

Aaj Baat he kuch asi ha

Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain 
Sunsan hain itna mausam he ki aahat karne ka mat karta hain ,
Paw mere hain thake hue phir bhi chalne ka man karta hain ,
In Jhuti sari baato main wada karne ka man karta hain ,
Pyar bhare is mausam main kuch kuch ladne ka man karta hain
Hain bikhra andhera jaha jaha roshan karne ka man karta hain ,
Is payrepan ke ghar main chahat karne ka man karta hain ,
Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain

Aaj Hawa bhi deemi deemi hain , phir bhi ucha udne ka man karta hain ,
hain vishal agar ye duniya to baho main bharne ka man karta hain ,
Kabhi kabhi to Aakash ka Pamana Banne ka man karta hain ,
Aaj to manjil se bhi kuch ucha udne ka man karta hain ,
Haar bhi jau to bhi kya , Patag ki tarah katne ka man karta hain ,

Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain

No comments:

Post a Comment