Saturday, February 23, 2013

Teri Gussai Najre

Wo gussai nazaro se tera yu sabko dekhna
Jise log Tera Gurur mante the
Usme bhi hum na tera koi kasoor mante the
wo Jo mukamill na ho saka kisi se kiya hua tera wada
Jise Log tera Fittoor mante the
Usme bhi hum na tera koi kasoor mante the

Hum to us din bhi nahi the naraj 
Jis din suni na thi tumne meri aawaj 
Wo tera chor ke jana mughko yu akale
Jise Log tera Kasoor mante the

hum to use sirf apna dastoor mante the
Usme bhi hum na tera koi kasoor mante the

Main Tera Kasoorwar Nahi

Roj ladti hain tu mughse ,
Ye Jaankar bhi ki main tera koi kasoorwar nahi ,

Ha manta hu ki ye haq hain tera
lakin Itna bhi na sata ,
Jaise ki humme koi katra e Jaan nahi .

kosish to tu bhi har roj kar rahi hain ,
Per sayad tughe ye guman nahi ,

Wo to sirf Baatein he to teri jise hum phool samajte hain ,
Jaan mere lele asa bhi wo bhi to koi hatyaar nahi .
Roj ladti hain tu mughse ,
Ye Jaankar bhi ki main tera koi kasoorwar nahi ,

Meri Aadat

Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi
Main har baar nakam hota raha or ye naya imtehaan lati rahi ,

Pahle Teri or Phir is Aadat ko bhulane ki chahat thi mughe ,
To zindagi bhi Nijaat pane ko is se roz naye tareeke aajmati rahi ,

Kabhi makhane ko to kabhi Jaam ko apnati rahi ,
Jaam ka asar asa hua ki laga ki ab meri wo aadat meri wo aadat na rahi
lakin dosto main jikr tha ki ,
ki us haal main bhi meri har baat main baat teri aati rahi .
Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi

Tu he to thi meri wo aadat ,
Jo aaj bhi meri baato main aati rahi ,
or kya kahu kisi se , ki kitna mayush hu khud se ,
Ki tughe bhulane ki ye majburi mughe har roz teri yaad dilati rahi.
Main har baar nakam hota raha or ye har baar naya imtehaan lati rahi ,

Teri Yaade to us syahi se likhi hain ziwan main mere ,
Jisse bina saanse bhi chal nahi sakti ,
Bina Roke Inhe , ye yadeen bhi tham nahi sakti ,
Main yu he mit ta raha , khatam hota raha ,
Main dard sehta raha , or ye roz naya sitam dhati rahi .
Na Ayi saram ise , ye Aadat meri mughko phir bhi aajmati Rahi ,

Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi

Aaj Baat he kuch asi ha

Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain 
Sunsan hain itna mausam he ki aahat karne ka mat karta hain ,
Paw mere hain thake hue phir bhi chalne ka man karta hain ,
In Jhuti sari baato main wada karne ka man karta hain ,
Pyar bhare is mausam main kuch kuch ladne ka man karta hain
Hain bikhra andhera jaha jaha roshan karne ka man karta hain ,
Is payrepan ke ghar main chahat karne ka man karta hain ,
Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain

Aaj Hawa bhi deemi deemi hain , phir bhi ucha udne ka man karta hain ,
hain vishal agar ye duniya to baho main bharne ka man karta hain ,
Kabhi kabhi to Aakash ka Pamana Banne ka man karta hain ,
Aaj to manjil se bhi kuch ucha udne ka man karta hain ,
Haar bhi jau to bhi kya , Patag ki tarah katne ka man karta hain ,

Aaj Baat he asi ha ki kuch likne ka man karta hain