Saturday, February 23, 2013

Meri Aadat

Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi
Main har baar nakam hota raha or ye naya imtehaan lati rahi ,

Pahle Teri or Phir is Aadat ko bhulane ki chahat thi mughe ,
To zindagi bhi Nijaat pane ko is se roz naye tareeke aajmati rahi ,

Kabhi makhane ko to kabhi Jaam ko apnati rahi ,
Jaam ka asar asa hua ki laga ki ab meri wo aadat meri wo aadat na rahi
lakin dosto main jikr tha ki ,
ki us haal main bhi meri har baat main baat teri aati rahi .
Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi

Tu he to thi meri wo aadat ,
Jo aaj bhi meri baato main aati rahi ,
or kya kahu kisi se , ki kitna mayush hu khud se ,
Ki tughe bhulane ki ye majburi mughe har roz teri yaad dilati rahi.
Main har baar nakam hota raha or ye har baar naya imtehaan lati rahi ,

Teri Yaade to us syahi se likhi hain ziwan main mere ,
Jisse bina saanse bhi chal nahi sakti ,
Bina Roke Inhe , ye yadeen bhi tham nahi sakti ,
Main yu he mit ta raha , khatam hota raha ,
Main dard sehta raha , or ye roz naya sitam dhati rahi .
Na Ayi saram ise , ye Aadat meri mughko phir bhi aajmati Rahi ,

Kyu har Roz meri Aadat meri saqsiyat ke liye ek naya Sawal lati rahi

No comments:

Post a Comment