Thursday, July 26, 2012

Meri chah!!

Aaj Phir zindagi ko sawarne ka Jee chah raha hain
Thodi he der ke liye he sahi ,
Is Jism main zindagi ko basane ka Jee chah raha hain ,


Kal dekhe the kuch tute hue phul bazar main ,
Unhe Aangan main apne sajane ka Jee chah raha hain ,


Dushmano se Jaker keh do mere ,
Beeti ranjish bhula de, aaj dosti badane ka jee chah raha hain ,


Choro ko ghar bula ke ,
Aaj sab kuch lutane ka Jee chah raha hain ,

Gujarish hain meri unke Aashiko se sirf itni ,
Ki thoda Door he rahe Mughse ,
Kyuki Unke liye Aaj Dil Jalane ka Jee chah raha hain ,

Kuch der baad ye chahte Kahi Dafan na ho Jaye ,
Isliye aaj na roko Mughe ,
Ijhare -e - Mohabbat farmane ka Jee chah raha hain …

Aaj Phir zindagi ko sawarne ka Jee chah raha hain
Thodi he der ke liye he sahi ,
Is Jism main zindagi ko basane ka Jee chah raha hain .

Intzaar ka hasil

Chalo thoda sa or intzaar he sahi ,
Har baar ki tarah , chalo is baar bhi sahi ,
Is beech us beete hue pal ko yaad kar lete hain ,
Thoda sa or apka intzaar kar lete hain ,


Ye soch ke ki acchi yade acche waqt ki tarah hoti hain ,
Jo Jald hi gujar Jayenge ,
or is beech un palo ko bhi itna yaad kar lenge ki 
ki unhe kabhi bhul na payenge ,


Acchi yade zindagi ko Jene ka sahara hoti hain ,
Gam ke sagar ka ye kinara hoti hain,
Jaha sabhi dawa be-asar ho Jati hain ,
Waha ye Yade kabhi dawa or kabhi dua ban Jati hain.

Chalo waqt to mila in yado to batorne ka , chahe wo kisi ye intzaar main hi sahi ,
warna aaj ki duniya main to khud liye bhi hoti hain waqt ki badi kami ,
Kisi ko intzzar se hoti hain sikayate badi ,
Lakin aaj aya wahi intzaar mere kaam he sahi ,
Chalo thoda sa or intzaar he sahi ,
Har baar ki tarah , chalo is baar bhi sahi ,

Kasi karegi mughe khud se Juda

Tu chahe saath chod bhi de mera ,
Magar Main hamesha tere saath hi rahunga ,


Sikayat hogi meri kisi baat per to ,
Teri Narajgio main bhi main hi rahunga ,


Gussa ayega tughko to ,
Teri beadabiyo main bhi main hi rahunga,


Duwa kargi mughse door hone ki to,
Teri Inayato main bhi main hi rahunga ,

Khusi hogi agar mughse door hone ki to ,
Teri muskurahato main bhi main hi rahuna ,

Musibat main hogi tu kabhi to ,
To tere ghar ke chobaar per bhi main hi milunga ,

Kabhi chot lagegi tughe to ,
Us malham ke aaram main bhi main hi rahunga ,

kabhi aankeh bhar aayegi to ,
Zameen per tere aanuso se main hi girunga ,

kaise door kargi mugko khudse,
Jab har ehsaah main tere main hi rahunga ,

Tu chahe saath chod bhi de mera ,
Magar Main hamesha tere saath hi rahunga ,

Aadat

Is kadar harne ki hume yu aadat si ho gayi ,
Ki ab to apni jeet bhi koi galti si lagti hain ,
Ki mausam koi bhi ho, nikalte hain chata lekar ,
kyuki Sardiyo ki dhoop main bhi ab badi garmi si lagti hain ,
or kabhi to nikalte he nahi , Jab thodi tez hawae chalti hain ,
ab to raat ki sheetal hawa bhi hume jor ki aandhi si lagti hain ,
Baat ko talne main Jo maharat hasil ki hain ,
Usse to taraaki bhi koi ane wali musibat si lagti hain ,
Koi khat ata hain to padne se rok let hain khud ko ,
Na jane isme bhi kon si jahmiyat si lagti hain ,
Na kuch karne ki yu Aadat si ho gayi hain ki ,
Ki Saanso ko lene main bhi badi mehnat si lagti hain ….
Is kadar harne ki hume yu aadat si ho gayi ,
Ki ab to apni jeet bhi koi galti si lagti hain ,….

Wo jawani ki ladkdahat

Abhi se yu saharo ki kyu aadat pad gayi tughe ,
Jab ki theek se tughko ladkhadana bhi aata nahi ,
Umar ke baad bhi Girke phir sambahlne kosish karte hain log ,
Tum in majboot pero se bhi girne ki kosish kar rahe ho kyu.
Saath tera koi nahi dega , kab ye manega tu ,
Sahare ki bheek bhi kab talak mangega tu ,
Sahara kaam to ata hain magar ata hain ek bogh ke sath ,
kab talak us bogh ko sambhalega tu,
Kar aajad khud ko tu , or in pero ko bhi maksad de ,
khud ke pero se chalne ka maja tabhi janega tu ,
Abhi se yu saharo ki kyu aadat pad gayi tughe ,
Jab ki theek se tughko ladkhadana bhi aata nahi ,

Kya Khash hain yaha !!

kabhi kuch khaas nahi hota hain ,
Bas ye ek khusi or ek gam ka ehssas hi hota hain ,
Dabe paw bina aahat kiye zindagi nikalti rahti hain ,
or waqt ko bhi mere koi etraaj nahi hota hain,
ehmiyat humari kyu puchte hain hum tumse ,
khud ko kud ka guman kyu nahi hota hain,
kyu koste hain kabhi khudko kyu koste hain kabhi tumko ,
jab hame he humari zindagi ka ehsaah nahi hota hain !!

Meri Majboori Meri Zindagi

Main sochta hu kya or chahta hu kya ,
kyu Itna bechain kar diya hain tune mughe e meri zindagi ,
Magar kher koi baat nahi
Main kahi beech main hi hu, kinara kyu nahi pata ,
Aaj phir mughe barbaad kar diya hain tune mughe e meri zindagi ,
Magar kher koi baat nahi
Koi pehchaan si hi hain , magar anjan kyu tu hain
Mughe to bewajah hi paresan kar diya hain tune meri e zindagi
Magar kher koi baat nahi

Kaha ho Tum

Tu hain agar mojud har kahi ,
To dundtha tughe harkoi harbaar kyu hain.


Tune hain agar pyar hi baatah ,
To har kahi Gam-e- Bazaar kyu hain.


Tu Kahe ki sab hain tere ,
To koi saccha or koi Gunehgaar kyu hain ,


Tu kahe ki ye kaher or kayamat hain teri ,
To bana batah humara Nigebaan kyu hain .

Tu kahe hi tughe hain humse pyar ,
To phir jannete us paar kyu hain

Tu hain agar mojud har kahi ,

To dundtha tughe harkoi harbaar kyu hain.

Friday, June 1, 2012

Hisab-e-pyar

Jaise kal raat ki hi baat thi ,
Socha wafa-e- hisab hi kar lu ,
kya khoya kya pya maine tere khatir ,

Mera pal bhi paher ho gaya ,
Sirf tere ek deedar ki khateer .
Mera sach bhi zamane ka juth ho gaya ,
Sirf tere ek Aitbaar ki Khateer .
Mere intehaan ki bhi intehaan hi gayi ,
Sirf tere Intzaar ki khateer ,
Mera din bhi raat ho gayi ,
Sirf tere adhure khwab ki khateer ,
Meri chahate bhi bas naam ho gayi ,
Sirf tughe pane ki ek chah ki khateer ,
Mere Ankho se bhi aaj barsat ho gayi ,
Sirf teri ek muskan ki khateer ,
Meri zindgai bhi khaakh ho gayi ,
Sirf tere se sajae-e- pyar ki khateer ….

Thursday, May 31, 2012

Jaha tha sab kuch mera

Mera karwa bhi wahi tha , or mera humsafer bhi wahi tha ,
Mera ghar bhi wahi tha or mera akbar bhi wahi tha ,
Mera khusiya bhi wahi thi ,or meri manjil bhi wahi thi ,
Mera humdum bhi wahi tha ,or mera dushman bhi wahi tha ,
Meri guft gu bhi wahi thi ,or mera raajdaan bhi wahi tha ,
Meri intzaar ki gadiya bhi wahi thi , or mera waqt bhi wahi tha ,
Kitni sari icchao se bari thi ,or Kitni kubhsurat wo jagah thi ,
Sirf kuch Fijul ki chize hi nahi thi ,
or wo bhi sari ki sari wo meri thi ,
Mere alfas bhi wahi the , Sirf aawaz hi nahi thi ,
Meri Dil bhi wahi tha, sirf dhadkan hi nahi thi ,

Tuesday, May 29, 2012

Nadan Dil

kitini bewafa thi tu kya batau tughe ,


ki har yaad main teri ,tere bewafai ke yaad rahti hain ,


yu to teri har baat pe gussa ata hain mughe ,


phir bhi dile nadan se tere liye duwae hi nikalti hain ....

Monday, May 28, 2012

Do pehlu

zindagi ke do pahlu mughe bahut hi paresan karte hain ,
har bar meri samagh ko baimaan karte hain ,
hain ye koi paheli , koi mushkil , ya koi uljgan ,
ya phir hain koi kavita , koi geet , ya koi gunjan ,
Kabhi ahsas main mere ye mere sang chalti hain ,
kabhi mod per aake ye kati patang lagti hain ,
Kabhi mahfil main bhi ye chupchap lagti hain ,
Kabhi dhadkane bhi shor bhari awaaj lagti hain ,
zindagi ke do pahlu mughe bahut hi paresan karte hain ,
har bar meri samagh ko baimaan karte hain ..

Kya dundta hu main

Har Kisi main khud ko dundhta hu ,
Sayad mujhko ye nahi pata hain ,
Jo milta hain khud sa , us se lad leta hu ,
sayad main hi in sab main sabse bura hu ,
falsafa hain ye jarurat ka ,
or main apni jarurat nahi badal sakta hu,
Us se kyu chah rakhta hu ,
Jab main khud ki chahat ko nahi badal sakta hu .

Meri Kisti

Koi mughe meri dubti hui kisti ka samunder De de ,
Tute Khawbo ka koi manjar de de ,
Yu hi katti ja rahi hain bewajah hi zindagi meri ,
Koi in besabar hasil ko inki manjil de de ...
Koi mughe meri dubti hui kisti ka samunder de de.

Meri Khawhise..

Nahi Rukti hain khawhise meri , kisi bhi manjil pe ,
Lagta hain meri Khawhiso ko majil ki pehchan nahi hoti ,
Chalna hi zindgani hain ,
Isliye khawhise he zindagi hain or zindagi kabhi aam nahi hoti ,
jeet ta or jeeta wahi hain is jag main ,
jo khawhise rakhta hain ,
or waise bhi Khawhise rakhna bhi har kisi ki ke bas ki baat nahi hoti ,
Rokna chahta hu bahut inko ,
Per sayad meri Khawhiso ko majil ki pehchan nahi hoti …..

Ek baat

SAB JEETE HAIN U HI , PER KISI BAAT PE MARTE HAIN ,
JATE HAIN ROJ MAINKHANE , PER PAMANA KISI BAAT PE BHARTE HAIN ,
PYAR TO U HI KARTE HAIN LOG , PER JANE KON KISI BAAT PE LADTE HAIN ,
WO UNKI KISI BAAT SE , LAKHO KE DIL TUTE HAIN ,
ISLIYE AB TO HUM UNKI KISI BHI BAAT SE DARTE HAIN …

Accha hi hua..

Accha hi hua jo mugh me na thi wafa ,
or tere liye main teri wafa ke kabil na Hua ….
Accha hi hua jo mughe tugse koi sikwa na hui ,
or tughe kabhi palko main meri yaad se pani ka ehssas na hua ….
Accha hi hua jo meri yaado main bhi tu khwab ban gayi ,
jis dour main mughse ruswa tu hua ..
Accha hi tha jo mughe ek baar ye ehssas ,
or tughe bhi ye ekbar to hua ..
Accha hi tha jo main bhi gunhgar na bana ,
or tuj per bhi koi iljam na laga ..
Wo kahte hain na jo bhi hota hain acche ke liye hota hain ,
Isliye main bhi zinda bach gaya ,
or tu bhi mera katil na hua ….

Aa hi jati hain

Kyu meri zindagi se ja ke bhi tu aa hi jati hain ..
Kyu har baar mere zajbat main bhi tu aa hi jati hain ,
Har baar har baat main mere tu aa hi jati hain ,
Na hian paas mere phir bhi tu aa hi jati hain ,
Na sochta hu , phi bhi meri soch main bhi tu aa hi jati hain ,
bin bulae meri yaad main tu bas aa hi jati hain ,
kyu har baar bulane ki tughe aadat si ho gayi ,
Bhul jata hu ki bhulane main bhi tu aa hi jati hain ..

Zindagi hain kisse

Pal Pal , tinka tinka , bund bund jodker bante hain ye kisse ,
or meri zindagi hain bhi kya samay ki sej per bikhre hue kuch kisse ,
kabhi maa ke dular ke kisse ,
kabhi fatkar ke kisse ,
kabhi school ke pyar ke kisse ,
kabhi teacher ki maar ke kisse ,
kabhi wo choti choti jeet ke kisse ,
kabhi wo badi haar ke kisse ,
Kuch sach se acche jhut ke kisse ,
Kuch rote hue sach ke kisse ,
kabhi hasi se bhare hote ye kisse ,
kabhi nami se bighe hote ye kisse ,
kuch akele ke kisse ,
or kuch dosto ke sath ke kisse ,
bikhre pade hain charo taraf meri zindagi ke kisse ,
ji karta hain bator lu inko , lakin botoru bhi to kya ,
kabhi hath ate hain meri babasi ke halat ke kisse ,
yu to in kisso umar meri saanso se bhi lambi hogi ,
main na rahunga , reh jayenge to bas mere baad mere kisse ,
aaj jo beet raha hain wo bhi kisi din koi kissa ban jayega ,
kuch kahlaenge mere jajbat ke kisse ,
or ban jayenge meri alfaj ke kisse ..

Tuesday, February 21, 2012

Le chal mughe...

Tu mughe ek baar phir waha le chal ,
Jaha jiwan pedo ki chaya jaisa hain , Jaha taklife ek kaya jaisa hain,
Jaha hum deke gam or unhe chu na sako ,Mahsus kare gam per unhe ji na sake ,
Jaha Jiwan kitna manmohak sa hain ,Tu mughe ek baar phir waha le chal ….

Jiwan ki ye ajib uljhan hain ,kushi ki talash main milta kyu gham hain ,
Apne hi niyam todte kyu hain, Chalne wali Jami per hum Dodte kyu hain ,
Dodke per bhi koi manjil nahi milti ,Mil bhi jaye to khusia nahi milti ,

Tu Mughe ek baar phir waha le chal ,Jaha Jiwan pedo ki chaya jaisa hain....

Meri Chahat

Na chahta hu dolat , na chahta hu sohrat ,
Main tere tajurbe ka ahsas chahta hu ,
Jiwan ko samjhne ka koi raaj chahta hu ,
Anke hain meri , phir bhi palko ke niche zindagi chodta ja raha hu ,
Icchao ke bojh se main kyu daba ja raha hu ,
Jiwan se main kitna door chala ja raha hu ,
Ki wapasi ka rasta hi bhulte ja raha hu ,
Har mod per , rukta kyu hu …Rukta hu to phir thamta kyu nahi hu ,
Kyu main zindagi se dode jaa raha hu ,
Kuch pane ki chahat main nachahte hue bhi kitna koye jaa raha hu,

Umar Beet jayegi meri , or talash bhi adhuri rah jayegi.
Isliye main tughse kuch jawab chata hu ,
Na dolat na sohrat ..but tere tajurbe ka ehsas chahta hu .

Beeta Hua kal

Wo beeta hua Kal hi accha tha..
Kal main Jutha tha to tu mera dost saccha tha..
Aaj haquikat hain tere samne or tu ruth ke betah kyu hain.
Kal main saath tha tere to baato ke badal ki bunde thi tere paas ,
Aaj Mojud nahi tere sath to khamosh tu batah kyu hain
Kal tak muskan tere chehre se sarmati thi ,
Aaj tu gam ke galiyare main betah kyu hain ,

Phir to wo hi pal accha tha
Main jutha hi sahi per aaj se wo kal accha tha..

Main akela hi raha

Kabhi akela raha tanha , kabhi bhid main bhi akela sa hu.
Main Parida Aakash main udta , ud raha akela sa hu.
Dundhta hu ab to saye , itna main tanha akela sa hu ,
Raat kali hain ki itni or rang dundne main chala hu ,
Kis dagar ka main pathik hu , or kis rah main chala hu ,
Kabhi akela raha tanha , kabhi bhid main bhi akela sa hu.

Meri Ulfat main hi janu , or kitna gam main saha hu ,
Meri manjil hain kaha , or main hi janu main kaha hu ,
Dundhta hu kuch sahare , kuch kinare , kuch basere ..
Miltle hain to manjil ke isare , unper tanha main chala hu ,
Chand sikke hain batore , unko batna main chahta hu ,
Mil gayi manjil mujhe , phir bhi akela main raha hu ,

Kabhi akela raha tanha , kabhi bhid main bhi akela sa hu…..

Mere Kadam

Kyu Rahu piche Jab age nikalna main janta hu
Kyu Chalu main dhime Jab Dodna main janta hu ,
Kyu na baatu , Jab main pyar ka matlab main janta hu ,
Kyu Bahau aanshu , Jab main hasna or hasana janta hu,
Kyu bathu main khali , Jab mehnat ka Fal main Janta hu ,
Kyu Na baatu khusia ,Jab main Duwao ka asar main Janta hu,
Kyu na Khawhis karu main , Jab main Pane hi himmat main Janta Hu ,
Kyu Rahu anjan , Jab ki itna kuch main Janta hu ,
Kyu Rahu piche Jab age nikalna main janta hu …

Kushiya kisi Chiz ki mohtaz nahi hoti

KUSHIA KISI CHIZ KI MOHTAZ NAHI HOTI ,
KUSH RAHNE WALO KO KUSHI KI TALASH NAHI HOTI ,
HUMNE TO KITNE ADNANGE BACCO KO SADKO PER SOTE DEKHA HAIN ,
UN BUKHO BACCO KO BHI , HUMNE KUSHIO SE HASTE DEKHA HAIN ,
TU BAIRAGI KYU FIRTA HAIN ,KIS CHAHAT MAIN TU GIRTA HAIN ,
GIRKE KHUSI KYA PAYEGA ,KYA LAYA THA , KYA LE JAYEGA ,
KHUS RAHNA HI ZINDAGANI HAIN ,APNI TO AADAT PURANI HAIN ,
IK SIKH YAHI BAS SIKHI HAIN ,DUNIYA KO BHI YAHI BATAUNGA ,
PANI KE PYASE KO , DOLAT KI PYAS NAHI HOTI ,
NADI KINARE RAHNE WALO KO PANI KI TALAASH NAHI HOTI ,
KUSHI KISI CHIZ KI MOHTAZ NAHI HOTI ,
KUSH RAHNE WALO KO KUSHI KI TALASH NAHI HOTI ,