Thursday, July 26, 2012

Meri chah!!

Aaj Phir zindagi ko sawarne ka Jee chah raha hain
Thodi he der ke liye he sahi ,
Is Jism main zindagi ko basane ka Jee chah raha hain ,


Kal dekhe the kuch tute hue phul bazar main ,
Unhe Aangan main apne sajane ka Jee chah raha hain ,


Dushmano se Jaker keh do mere ,
Beeti ranjish bhula de, aaj dosti badane ka jee chah raha hain ,


Choro ko ghar bula ke ,
Aaj sab kuch lutane ka Jee chah raha hain ,

Gujarish hain meri unke Aashiko se sirf itni ,
Ki thoda Door he rahe Mughse ,
Kyuki Unke liye Aaj Dil Jalane ka Jee chah raha hain ,

Kuch der baad ye chahte Kahi Dafan na ho Jaye ,
Isliye aaj na roko Mughe ,
Ijhare -e - Mohabbat farmane ka Jee chah raha hain …

Aaj Phir zindagi ko sawarne ka Jee chah raha hain
Thodi he der ke liye he sahi ,
Is Jism main zindagi ko basane ka Jee chah raha hain .

Intzaar ka hasil

Chalo thoda sa or intzaar he sahi ,
Har baar ki tarah , chalo is baar bhi sahi ,
Is beech us beete hue pal ko yaad kar lete hain ,
Thoda sa or apka intzaar kar lete hain ,


Ye soch ke ki acchi yade acche waqt ki tarah hoti hain ,
Jo Jald hi gujar Jayenge ,
or is beech un palo ko bhi itna yaad kar lenge ki 
ki unhe kabhi bhul na payenge ,


Acchi yade zindagi ko Jene ka sahara hoti hain ,
Gam ke sagar ka ye kinara hoti hain,
Jaha sabhi dawa be-asar ho Jati hain ,
Waha ye Yade kabhi dawa or kabhi dua ban Jati hain.

Chalo waqt to mila in yado to batorne ka , chahe wo kisi ye intzaar main hi sahi ,
warna aaj ki duniya main to khud liye bhi hoti hain waqt ki badi kami ,
Kisi ko intzzar se hoti hain sikayate badi ,
Lakin aaj aya wahi intzaar mere kaam he sahi ,
Chalo thoda sa or intzaar he sahi ,
Har baar ki tarah , chalo is baar bhi sahi ,

Kasi karegi mughe khud se Juda

Tu chahe saath chod bhi de mera ,
Magar Main hamesha tere saath hi rahunga ,


Sikayat hogi meri kisi baat per to ,
Teri Narajgio main bhi main hi rahunga ,


Gussa ayega tughko to ,
Teri beadabiyo main bhi main hi rahunga,


Duwa kargi mughse door hone ki to,
Teri Inayato main bhi main hi rahunga ,

Khusi hogi agar mughse door hone ki to ,
Teri muskurahato main bhi main hi rahuna ,

Musibat main hogi tu kabhi to ,
To tere ghar ke chobaar per bhi main hi milunga ,

Kabhi chot lagegi tughe to ,
Us malham ke aaram main bhi main hi rahunga ,

kabhi aankeh bhar aayegi to ,
Zameen per tere aanuso se main hi girunga ,

kaise door kargi mugko khudse,
Jab har ehsaah main tere main hi rahunga ,

Tu chahe saath chod bhi de mera ,
Magar Main hamesha tere saath hi rahunga ,

Aadat

Is kadar harne ki hume yu aadat si ho gayi ,
Ki ab to apni jeet bhi koi galti si lagti hain ,
Ki mausam koi bhi ho, nikalte hain chata lekar ,
kyuki Sardiyo ki dhoop main bhi ab badi garmi si lagti hain ,
or kabhi to nikalte he nahi , Jab thodi tez hawae chalti hain ,
ab to raat ki sheetal hawa bhi hume jor ki aandhi si lagti hain ,
Baat ko talne main Jo maharat hasil ki hain ,
Usse to taraaki bhi koi ane wali musibat si lagti hain ,
Koi khat ata hain to padne se rok let hain khud ko ,
Na jane isme bhi kon si jahmiyat si lagti hain ,
Na kuch karne ki yu Aadat si ho gayi hain ki ,
Ki Saanso ko lene main bhi badi mehnat si lagti hain ….
Is kadar harne ki hume yu aadat si ho gayi ,
Ki ab to apni jeet bhi koi galti si lagti hain ,….

Wo jawani ki ladkdahat

Abhi se yu saharo ki kyu aadat pad gayi tughe ,
Jab ki theek se tughko ladkhadana bhi aata nahi ,
Umar ke baad bhi Girke phir sambahlne kosish karte hain log ,
Tum in majboot pero se bhi girne ki kosish kar rahe ho kyu.
Saath tera koi nahi dega , kab ye manega tu ,
Sahare ki bheek bhi kab talak mangega tu ,
Sahara kaam to ata hain magar ata hain ek bogh ke sath ,
kab talak us bogh ko sambhalega tu,
Kar aajad khud ko tu , or in pero ko bhi maksad de ,
khud ke pero se chalne ka maja tabhi janega tu ,
Abhi se yu saharo ki kyu aadat pad gayi tughe ,
Jab ki theek se tughko ladkhadana bhi aata nahi ,

Kya Khash hain yaha !!

kabhi kuch khaas nahi hota hain ,
Bas ye ek khusi or ek gam ka ehssas hi hota hain ,
Dabe paw bina aahat kiye zindagi nikalti rahti hain ,
or waqt ko bhi mere koi etraaj nahi hota hain,
ehmiyat humari kyu puchte hain hum tumse ,
khud ko kud ka guman kyu nahi hota hain,
kyu koste hain kabhi khudko kyu koste hain kabhi tumko ,
jab hame he humari zindagi ka ehsaah nahi hota hain !!

Meri Majboori Meri Zindagi

Main sochta hu kya or chahta hu kya ,
kyu Itna bechain kar diya hain tune mughe e meri zindagi ,
Magar kher koi baat nahi
Main kahi beech main hi hu, kinara kyu nahi pata ,
Aaj phir mughe barbaad kar diya hain tune mughe e meri zindagi ,
Magar kher koi baat nahi
Koi pehchaan si hi hain , magar anjan kyu tu hain
Mughe to bewajah hi paresan kar diya hain tune meri e zindagi
Magar kher koi baat nahi

Kaha ho Tum

Tu hain agar mojud har kahi ,
To dundtha tughe harkoi harbaar kyu hain.


Tune hain agar pyar hi baatah ,
To har kahi Gam-e- Bazaar kyu hain.


Tu Kahe ki sab hain tere ,
To koi saccha or koi Gunehgaar kyu hain ,


Tu kahe ki ye kaher or kayamat hain teri ,
To bana batah humara Nigebaan kyu hain .

Tu kahe hi tughe hain humse pyar ,
To phir jannete us paar kyu hain

Tu hain agar mojud har kahi ,

To dundtha tughe harkoi harbaar kyu hain.